Tare Dard Ke Jhonke Ban Kar Aate Hain

tare dard ke jhonke ban kar aate hain

hum bhi nind ki surat uDte jate hain

jab andaz bahaaron ke yaad aate hain

hum kaghaz par kya kya phul banate hain

waqt ka patthar bhaari hota jata hai

hum miTTi ki surat dete jate hain

kya zarron ka josh saba ne chhin liya

gulshan mein kyun yaad bagule aate hain

duniya ne har baat mein kya kya rang bhare

hum sada auraq ulaTte jate hain

dil nadan hai shayad rah pe aa jae

tum bhi samjhao hum bhi samjhate hain

tum bhi ulTi ulTi baaten puchhte ho

hum bhi kaisi kaisi qasmen khate hain

baiTh ke roen kis ko fursat hai 'baqi'

bhule-bisre qisse yaad to aate hain

(812) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tare Dard Ke Jhonke Ban Kar Aate Hain In English By Famous Poet Baqi Siddiqui. Tare Dard Ke Jhonke Ban Kar Aate Hain is written by Baqi Siddiqui. Read famous Poem Tare Dard Ke Jhonke Ban Kar Aate Hain for youth and Student by Baqi Siddiqui. Free Download Tare Dard Ke Jhonke Ban Kar Aate Hain in PDF.