Teri Nigah Ka Andaz Kya Nazar Aaya

teri nigah ka andaz kya nazar aaya

daraKHt se hamein saya juda nazar aaya

bahut qarib se aawaz ek aai thi

magar chale to baDa fasla nazar aaya

ye raste ki lakiren bhi gum na ho jaen

wo jhaDiyon ka naya silsila nazar aaya

ye raushni ki kiran hai ki aag ka shoala

har ek ghar mujhe jalta hua nazar aaya

kali kali ki sada gunjne lagi dil mein

jahan bhi koi chaman-ashna nazar aaya

suno to kis liye patthar uThae phirte ho

kaho to aaina-KHane mein kya nazar aaya

ye dopahar ye pighalti hui saDak 'baqi'

har ek shaKHs phisalta hua nazar aaya

(733) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Teri Nigah Ka Andaz Kya Nazar Aaya In English By Famous Poet Baqi Siddiqui. Teri Nigah Ka Andaz Kya Nazar Aaya is written by Baqi Siddiqui. Read famous Poem Teri Nigah Ka Andaz Kya Nazar Aaya for youth and Student by Baqi Siddiqui. Free Download Teri Nigah Ka Andaz Kya Nazar Aaya in PDF.