Roz Kahan Se Koi Naya-pan Apne Aap Mein Laenge

roz kahan se koi naya-pan apne aap mein laenge

tum bhi tang aa jaoge ek din hum bhi ukta jaenge

chaDhta dariya ek na ek din KHud hi kinare kaTega

apne hanste chehre kitne tufanon ko chhupaenge

aag pe chalte chalte ab to ye ehsas bhi kho baiThe

kya hoga zaKHmon ka mudawa daman kaise bachaenge

wo bhi koi hum hi sa masum gunahon ka putla tha

nahaq us se laD baiThe the ab mil jae manaenge

is jaanib hum us jaanib tum bich mein hail ek alaw

kab tak hum tum apne apne KHwabon ko jhulsaenge

sarma ki rut kaT ke aane wale parindo ye to kaho

dur des ko jaane wale kab tak lauT ke aaenge

tez hawaen aaankhon mein to ret dukhon ki bhar hi gain

jalte lamhe rafta rafta dil ko bhi jhulsaenge

mahfil mahfil apna talluq aaj hai ek mauzu-e-suKHan

kal tak tark-e-talluq ke bhi afsane ban jaenge

(1092) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Roz Kahan Se Koi Naya-pan Apne Aap Mein Laenge In English By Famous Poet Bashar Nawaz. Roz Kahan Se Koi Naya-pan Apne Aap Mein Laenge is written by Bashar Nawaz. Read famous Poem Roz Kahan Se Koi Naya-pan Apne Aap Mein Laenge for youth and Student by Bashar Nawaz. Free Download Roz Kahan Se Koi Naya-pan Apne Aap Mein Laenge in PDF.