Pahla Sa Wo Zor Nahin Hai Mere Dukh Ki Sadaon Mein

pahla sa wo zor nahin hai mere dukh ki sadaon mein

shayad pani nahin raha hai ab pyase dariyaon mein

jis baadal ki aas mein joDe khol liye hain suhagan ne

wo parbat se Takra kar baras chuka sahraon mein

jaane kab taDpe aur chamke suni raat ko phir Das jae

mujh ko ek rupahli nagin baiThi mili hai ghaTaon mein

patta to aaKHir patta tha gunjaan ghane daraKHton ne

zamin ko tanha chhoD diya hai itni tez hawaon mein

din bhar dhup ki tarah se hum chhae rahte hain duniya par

raat hui to simaT ke aa jate hain dil ki guphaon mein

khaDe hue jo sahil par to dil mein palken bhig gain

shayad aansu chhupe hue hon subh ki narm hawaon mein

ghazal ke mandir mein diwana murat rakh kar chala gaya

kaun use pahle pujega bahas chali dewtaon mein

(1123) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pahla Sa Wo Zor Nahin Hai Mere Dukh Ki Sadaon Mein In English By Famous Poet Bashir Badr. Pahla Sa Wo Zor Nahin Hai Mere Dukh Ki Sadaon Mein is written by Bashir Badr. Read famous Poem Pahla Sa Wo Zor Nahin Hai Mere Dukh Ki Sadaon Mein for youth and Student by Bashir Badr. Free Download Pahla Sa Wo Zor Nahin Hai Mere Dukh Ki Sadaon Mein in PDF.