Parakhna Mat Parakhne Mein Koi Apna Nahin Rahta

parakhna mat parakhne mein koi apna nahin rahta

kisi bhi aaine mein der tak chehra nahin rahta

baDe logon se milne mein hamesha fasla rakhna

jahan dariya samundar se mila dariya nahin rahta

hazaron sher mere so gae kaghaz ki qabron mein

ajab man hun koi bachcha mera zinda nahin rahta

mohabbat ek KHushbu hai hamesha sath chalti hai

koi insan tanhai mein bhi tanha nahin rahta

(2232) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Parakhna Mat Parakhne Mein Koi Apna Nahin Rahta In English By Famous Poet Bashir Badr. Parakhna Mat Parakhne Mein Koi Apna Nahin Rahta is written by Bashir Badr. Read famous Poem Parakhna Mat Parakhne Mein Koi Apna Nahin Rahta for youth and Student by Bashir Badr. Free Download Parakhna Mat Parakhne Mein Koi Apna Nahin Rahta in PDF.