Patthar Ke Jigar Walo Gham Mein Wo Rawani Hai

patthar ke jigar walo gham mein wo rawani hai

KHud rah bana lega bahta hua pani hai

ek zehn-e-pareshan mein KHwab-e-ghazalistan hai

patthar ki hifazat mein shishe ki jawani hai

dil se jo chhaTe baadal to aankh mein sawan hai

Thahra hua dariya hai bahta hua pani hai

ham-rang-e-dil-e-pur-KHun har lala-e-sahrai

gesu ki tarah muztar ab raat ki rani hai

jis sang pe nazren kin KHurshid-e-haqiqat hai

jis chand se munh moDa patthar ki kahani hai

ai pir-e-KHirad-mandan dil ki bhi zarurat hai

ye shahr-e-ghazalan hai ye mulk-e-jawani hai

gham wajh-e-figar-e-dil gham wajh-e-qarar-e-dil

aansu kabhi shisha hai aansu kabhi pani hai

is hausla-e-dil par hum ne bhi kafan pahna

hans kar koi puchhega kya jaan ganwani hai

din talKH haqaeq ke sahraon ka suraj hai

shab gesu-e-afsana yaadon ki kahani hai

wo husn jise hum ne ruswa kiya duniya mein

nadida haqiqat hai na-gufta kahani hai

wo misra-e-awara diwanon pe bhaari hai

jis mein tere gesu ki be-rabt kahani hai

hum KHushbu-e-awara hum nur-e-pareshan hain

ai 'badr' muqaddar mein aashufta-bayani hai

(1611) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Patthar Ke Jigar Walo Gham Mein Wo Rawani Hai In English By Famous Poet Bashir Badr. Patthar Ke Jigar Walo Gham Mein Wo Rawani Hai is written by Bashir Badr. Read famous Poem Patthar Ke Jigar Walo Gham Mein Wo Rawani Hai for youth and Student by Bashir Badr. Free Download Patthar Ke Jigar Walo Gham Mein Wo Rawani Hai in PDF.