Socha Nahin Achchha Bura Dekha Suna Kuchh Bhi Nahin

socha nahin achchha bura dekha suna kuchh bhi nahin

manga KHuda se raat din tere siwa kuchh bhi nahin

socha tujhe dekha tujhe chaha tujhe puja tujhe

meri KHata meri wafa teri KHata kuchh bhi nahin

jis par hamari aankh ne moti bichhae raat bhar

bheja wahi kaghaz use hum ne likha kuchh bhi nahin

ek sham ke sae tale baiThe rahe wo der tak

aankhon se ki baaten bahut munh se kaha kuchh bhi nahin

ehsas ki KHushbu kahan aawaz ke jugnu kahan

KHamosh yaadon ke siwa ghar mein raha kuchh bhi nahin

do-chaar din ki baat hai dil KHak mein mil jaega

jab aag par kaghaz rakha baqi bacha kuchh bhi nahin

(1063) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Socha Nahin Achchha Bura Dekha Suna Kuchh Bhi Nahin In English By Famous Poet Bashir Badr. Socha Nahin Achchha Bura Dekha Suna Kuchh Bhi Nahin is written by Bashir Badr. Read famous Poem Socha Nahin Achchha Bura Dekha Suna Kuchh Bhi Nahin for youth and Student by Bashir Badr. Free Download Socha Nahin Achchha Bura Dekha Suna Kuchh Bhi Nahin in PDF.