Soe Kahan The Aankhon Ne Takiye Bhigoe The

soe kahan the aankhon ne takiye bhigoe the

hum bhi kabhi kisi ke liye KHub roe the

angnai mein khaDe hue beri ke peD se

wo log chalte waqt gale mil ke roe the

har sal zard phulon ka ek qafila ruka

us ne jahan pe dhul aTe panw dhoe the

is hadse se mera talluq nahin koi

mele mein ek sath kai bachche khoe the

aankhon ki kashtiyon mein safar kar rahe hain wo

jin doston ne dil ke safine Duboe the

kal raat main tha mere alawa koi na tha

shaitan mar gaya tha farishte bhi soe the

(941) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Soe Kahan The Aankhon Ne Takiye Bhigoe The In English By Famous Poet Bashir Badr. Soe Kahan The Aankhon Ne Takiye Bhigoe The is written by Bashir Badr. Read famous Poem Soe Kahan The Aankhon Ne Takiye Bhigoe The for youth and Student by Bashir Badr. Free Download Soe Kahan The Aankhon Ne Takiye Bhigoe The in PDF.