Wo Chandni Ka Badan KHushbuon Ka Saya Hai

wo chandni ka badan KHushbuon ka saya hai

bahut aziz hamein hai magar paraya hai

utar bhi aao kabhi aasman ke zine se

tumhein KHuda ne hamare liye banaya hai

kahan se aai ye KHushbu ye ghar ki KHushbu hai

is ajnabi ke andhere mein kaun aaya hai

mahak rahi hai zamin chandni ke phulon se

KHuda kisi ki mohabbat pe muskuraya hai

use kisi ki mohabbat ka e'tibar nahin

use zamane ne shayad bahut sataya hai

tamam umr mera dil usi dhuen mein ghuTa

wo ek charagh tha main ne use bujhaya hai

(2057) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Chandni Ka Badan KHushbuon Ka Saya Hai In English By Famous Poet Bashir Badr. Wo Chandni Ka Badan KHushbuon Ka Saya Hai is written by Bashir Badr. Read famous Poem Wo Chandni Ka Badan KHushbuon Ka Saya Hai for youth and Student by Bashir Badr. Free Download Wo Chandni Ka Badan KHushbuon Ka Saya Hai in PDF.