Wo Surat Gard-e-gham Mein Chhup Gai Ho

wo surat gard-e-gham mein chhup gai ho

bahut mumkin ye wo hi aadmi ho

main Thahra aabshaar-e-shahr-e-pur-fan

ghane jangal ki tum bahti nadi ho

bahut masruf hai angusht-e-naghma

magar tum to abhi tak bansuri ho

meri aankhon mein registan base hain

koi aise mein sawan ki jhaDi ho

diya jo bujh chuka hai phir jalana

bahut mahsus jab meri kami ho

ye shab jaise koi be-man ki bachchi

akele rote rote so gai ho

wo dariya mein nahana chandni ka

ki chandi jaise ghul kar bah rahi ho

kahani kahne wale kah rahe hain

magar jaane wahi jis par paDi ho

miyan! diwan ka mat roab Dalo

paDho koi ghazal jo waqai ho

ghazal wo mat sunana hum ko shaer

jo behad samain mein chal chuki ho

(901) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Surat Gard-e-gham Mein Chhup Gai Ho In English By Famous Poet Bashir Badr. Wo Surat Gard-e-gham Mein Chhup Gai Ho is written by Bashir Badr. Read famous Poem Wo Surat Gard-e-gham Mein Chhup Gai Ho for youth and Student by Bashir Badr. Free Download Wo Surat Gard-e-gham Mein Chhup Gai Ho in PDF.