RuKH Tumhaara Ho Jidhar Hum Bhi Udhar Ho Jaenge

ruKH tumhaara ho jidhar hum bhi udhar ho jaenge

tum se bichhDenge agar to dar-ba-dar ho jaenge

zindagani ke safar mein lutf hoga tab nasib

ham-KHayal-o-ham-nawa jab ham-safar ho jaenge

aasmanon ka safar hum tai karenge ek rose

jab hamare hauslon mein baal-o-par ho jaenge

sadgi yunhi agar lade rahe to ek din

sab tumhaare apne tum se be-KHabar ho jaenge

dekhna jis din unhen maqsad samajh mein aaega

manzilon ki justuju mein rahguzar ho jaenge

paude hain urdu adab ke aab-o-dana Daliye

aane wale kal mein sae aur samar ho jaenge

saqi saghar ki zarurat hi kahan mere liye

teri aankhon ke hi pyale pur-asar ho jaenge

wo na jaenge kabhi 'mahtab' zulmat ki taraf

waqt par anjam se waqif agar ho jaenge

(706) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

RuKH Tumhaara Ho Jidhar Hum Bhi Udhar Ho Jaenge In English By Famous Poet Bashir Mehtaab. RuKH Tumhaara Ho Jidhar Hum Bhi Udhar Ho Jaenge is written by Bashir Mehtaab. Read famous Poem RuKH Tumhaara Ho Jidhar Hum Bhi Udhar Ho Jaenge for youth and Student by Bashir Mehtaab. Free Download RuKH Tumhaara Ho Jidhar Hum Bhi Udhar Ho Jaenge in PDF.