Sab Ki Maujudgi Samajhta Hai

sab ki maujudgi samajhta hai

dil kisi ki kami samajhta hai

ek hi shaKHs se main waqif hun

jo mujhe ajnabi samajhta hai

go mujhe jaanta nahin lekin

wo meri shairi samajhta hai

wasl ke ashk hijr ke aansu

wo nami ko nami samajhta hai

wahi meri zaban se hai waqif

jo meri KHamushi samajhta hai

aap ke samne main KHush hun magar

mere dukh ram hi samajhta hai

yahi urdu zaban ka hai jadu

ab mujhe har koi samajhta hai

main use baat dil ki kahta hun

wo use shairi samajhta hai

itna nadan bhi nahin hai wo

jo tumhaari hansi samajhta hai

kaun 'mahtab' ab tumhaara hai

kaun dil ki lagi samajhta hai

(708) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sab Ki Maujudgi Samajhta Hai In English By Famous Poet Bashir Mehtaab. Sab Ki Maujudgi Samajhta Hai is written by Bashir Mehtaab. Read famous Poem Sab Ki Maujudgi Samajhta Hai for youth and Student by Bashir Mehtaab. Free Download Sab Ki Maujudgi Samajhta Hai in PDF.