Raat Us Tunuk-mizaj Se Kuchh Baat BaDh Gai

raat us tunuk-mizaj se kuchh baat baDh gai

wo ruTh kar gaya to ghazab raat baDh gai

ye kahiyo ham-nashin mujhe kya kya na kah gae

main ghaT gaya na aap ki kuchh zat baDh gai

bose ke nam hi pe lage kaTne zaban

kitni amal se aage mukafat baDh gai

chashmon se mere shahr mein tufan-e-girya hai

nadan jaante hain ki barsat baDh gai

samjha tha main kamar hi talak zulf ka kamal

wo panw se bhi aage kai hat baDh gai

aghyar se nahin hai sarokar yar ko

mere ba-raghm un pe inayat baDh gai

be-tauriyon se us ki 'bayan' main to khinch raha

ghairon ki us ke sath mulaqat baDh gai

(816) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raat Us Tunuk-mizaj Se Kuchh Baat BaDh Gai In English By Famous Poet Bayan Ahsanullah Khan. Raat Us Tunuk-mizaj Se Kuchh Baat BaDh Gai is written by Bayan Ahsanullah Khan. Read famous Poem Raat Us Tunuk-mizaj Se Kuchh Baat BaDh Gai for youth and Student by Bayan Ahsanullah Khan. Free Download Raat Us Tunuk-mizaj Se Kuchh Baat BaDh Gai in PDF.