Shikwa Apne Taleon Ki Na-rasai Ka Karun

shikwa apne taleon ki na-rasai ka karun

ya gila ai shoKH teri bewafai ka karun

wo ki ek muddat talak jis ko bhala kahta raha

aah ab kis munh se zikr us ki burai ka karun

aab-e-zamzam se main dho lun apni peshani ke tain

dar pe tab us ke irada jabha-sai ka karun

KHub si tambih karna ai judai tu mujhe

gar kisi se phir kabhi qasd aashnai ka karun

gar musaKHKHar howe wo KHurshid-ru mera 'bayan'

baadshahi kya ki main dawa KHudai ka karun

(790) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shikwa Apne Taleon Ki Na-rasai Ka Karun In English By Famous Poet Bayan Ahsanullah Khan. Shikwa Apne Taleon Ki Na-rasai Ka Karun is written by Bayan Ahsanullah Khan. Read famous Poem Shikwa Apne Taleon Ki Na-rasai Ka Karun for youth and Student by Bayan Ahsanullah Khan. Free Download Shikwa Apne Taleon Ki Na-rasai Ka Karun in PDF.