Apni Hasti Ka Agar Husn Numayan Ho Jae

apni hasti ka agar husn numayan ho jae

aadmi kasrat-e-anwar se hairan ho jae

tum jo chaho to mere dard ka darman ho jae

warna mushkil hai ki mushkil meri aasan ho jae

o namak-pash tujhe apni malahat ki qasam

baat to jab hai ki har zaKHm namakdan ho jae

dene wale tujhe dena hai to itna de de

ki mujhe shikwa-e-kotahi-e-daman ho jae

us siyah-baKHt ki raaten bhi koi raaten hain

KHwab-e-rahat bhi jise KHwab-e-pareshan ho jae

sina-e-shibli-o-mansur to phunka tu ne

is taraf bhi karam ai jumbish-e-daman ho jae

aaKHiri sans bane zamzam-e-hu apna

saz-e-mizrab-e-fana tar-e-rag-e-jaan ho jae

tu jo asrar-e-haqiqat kahin zahir kar de

abhi 'bedam' rasan-o-dar ka saman ho jae

(1690) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apni Hasti Ka Agar Husn Numayan Ho Jae In English By Famous Poet Bedam Shah Warsi. Apni Hasti Ka Agar Husn Numayan Ho Jae is written by Bedam Shah Warsi. Read famous Poem Apni Hasti Ka Agar Husn Numayan Ho Jae for youth and Student by Bedam Shah Warsi. Free Download Apni Hasti Ka Agar Husn Numayan Ho Jae in PDF.