Barhaman Mujhko Banana Na Musalman Karna

barhaman mujh ko banana na musalman karna

mere saqi mujhe mast-e-mai-e-irfan karna

dagh-e-dil sine mein aahon se numayan karna

hum se sikhe shab-e-gham koi charaghan karna

haram o dair mein ja ja ke charaghan karna

justuju teri hamein ta-had-e-imkan karna

dil ke bahlane ka wahshat mein ye saman karna

chashm-e-KHun-bar se daman ko gulistan karna

hawas-e-sair-e-gulistan ne qafas dikhlaya

ab asiro na kabhi qasd-e-gulistan karna

ahl-e-be-dad ke jab nam pukare jaen

tum na ghabra ke sar-e-hashr kahin han karna

na kabhi main ne kaha tha ki mujhe dard mile

na kahunga ki mere dard ka darman karna

un ke diwanon ko sar phoD ke diwaron se

aaj manzur hai aaraish-e-zindan karna

shaiKH ko kaba mubarak ho barahman ko kunisht

hum ko sajda taraf-e-kucha-e-jaanan karna

ai saba tujh ko usi zulf-e-pareshan ki qasam

mera shiraaza-e-hasti bhi pareshan karna

un ke diwanon ki eajaz-nigahi dekho

aankh uThana ki gulistan ko bayaban karna

dagh-e-dil parde mein rah jae na ai dast-e-junun

chaak kuchh aur abhi mera gareban karna

la ke phir misr mein ai ishq kisi yusuf ko

phir nae rang se aaraish-e-zindan karna

dasht-e-ghurbat mein tere KHak-nashin achchhe hain

chahiye aur inhen be-sar-o-saman karna

zauq-e-sajda tujhe sang-e-dar-e-jaanan ki qasam

hosh ka mujh ko na sharminda-e-ehsan karna

uTh rahe hain mere nazron se dui ke parde

kuchh madad aur KHayal-e-ruKH-e-jaanan karna

ban gae hairat-e-nazzara ki surat 'bedam'

ras aaya na hamein did ka arman karna

(1537) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Barhaman Mujhko Banana Na Musalman Karna In English By Famous Poet Bedam Shah Warsi. Barhaman Mujhko Banana Na Musalman Karna is written by Bedam Shah Warsi. Read famous Poem Barhaman Mujhko Banana Na Musalman Karna for youth and Student by Bedam Shah Warsi. Free Download Barhaman Mujhko Banana Na Musalman Karna in PDF.