Batae Deti Hai Be-puchhe Raaz Sab Dil Ke

batae deti hai be-puchhe raaz sab dil ke

nigah-e-shauq kisi ki nigah se mil ke

nikale hausle maqtal mein apne bismil ke

nisar tegh ke qurban aise qatil ke

main us pe sadqe jo jae kisi ki yaad mein jaan

kisi ko chahe main qurban jaun us dil ke

baDi adaon se li jaan apne kushte ki

hazar bar main qurban apne qatil ke

ghubar-e-qais nahin hai to kaun hai laila

koi to hai ki jo phirta hai gird mahmil ke

wo phuT bahne mein mashshaq hain ye rone mein

rahenge dab ke na aankhon se aable dil ke

mahaar-e-naqa-e-laila tu khinch le ai aah

haTa de dast-e-talab baDh ke parde mahmil ke

wo dil mein hain magar aankhon se dur hain 'bedam'

paDa hua hun main pyasa qarib sahil ke

(1038) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Batae Deti Hai Be-puchhe Raaz Sab Dil Ke In English By Famous Poet Bedam Shah Warsi. Batae Deti Hai Be-puchhe Raaz Sab Dil Ke is written by Bedam Shah Warsi. Read famous Poem Batae Deti Hai Be-puchhe Raaz Sab Dil Ke for youth and Student by Bedam Shah Warsi. Free Download Batae Deti Hai Be-puchhe Raaz Sab Dil Ke in PDF.