But Bhi IsMein Rahte The Dil Yar Ka Bhi Kashana Tha

but bhi is mein rahte the dil yar ka bhi kashana tha

ek taraf kabe ke jalwe ek taraf but-KHana tha

dilbar hain ab dil ke malik ye bhi ek zamana hai

dil wale kahlate the hum wo bhi ek zamana tha

phul na the aaraish thi us mast-ada ki aamad par

hath mein Dali Dali ke ek halka sa paimana tha

hosh na tha be-hoshi thi be-hoshi mein phir hosh kahan

yaad rahi KHamoshi thi jo bhul gae afsana tha

dil mein wasl ke arman bhi the aur malal-e-furqat bhi

aabaadi ki aabaadi virane ka virana tha

uf-re baad-e-josh-e-jawani aankh na un ki uThti thi

mastana har ek ada thi har ishwa mastana tha

shama ke jalwe bhi ya-rab kya KHwab tha jalne walon ka

subh jo dekha mahfil mein parwana hi parwana tha

dekh ke wo taswir meri kuchh khoe hue se kahte hain

han han yaad to aata hai is shakl ka ek diwana tha

ghair ka shikwa kyunkar rahta dil mein jab ummiden thin

apna phir bhi apna tha begana phir begana tha

'bedam' is andaz se kal yun hum ne kahi apni biti

har ek ne samjha mahfil mein ye mera hi afsana tha

(1078) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

But Bhi IsMein Rahte The Dil Yar Ka Bhi Kashana Tha In English By Famous Poet Bedam Shah Warsi. But Bhi IsMein Rahte The Dil Yar Ka Bhi Kashana Tha is written by Bedam Shah Warsi. Read famous Poem But Bhi IsMein Rahte The Dil Yar Ka Bhi Kashana Tha for youth and Student by Bedam Shah Warsi. Free Download But Bhi IsMein Rahte The Dil Yar Ka Bhi Kashana Tha in PDF.