Pahle Sharma Ke Mar Dala

pahle sharma ke mar Dala

phir samne aa ke mar Dala

saqi na pilai tune aaKHir

tarsa tarsa ke mar Dala

isa the to marne hi na dete

tum ne to jila ke mar Dala

bimar-e-alam ko tu ne naseh

samjha samjha ke mar Dala

KHanjar kaisa faqat ada se

taDpa taDpa ke mar Dala

yaad-e-gesu ne hijr ki shab

uljha uljha ke mar Dala

furqat mein tere gham-o-alam ne

tanha mujhe pa ke mar Dala

KHanjar na mila to us ne 'bedam'

aankhen dikhla ke mar Dala

(1912) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Pahle Sharma Ke Mar Dala In English By Famous Poet Bedam Shah Warsi. Pahle Sharma Ke Mar Dala is written by Bedam Shah Warsi. Read famous Poem Pahle Sharma Ke Mar Dala for youth and Student by Bedam Shah Warsi. Free Download Pahle Sharma Ke Mar Dala in PDF.