Ishq Ke Aasar Hain Phir Ghash Mujhe Aaya Dekho

ishq ke aasar hain phir ghash mujhe aaya dekho

phir koi rauzan-e-diwar se jhanka dekho

un ke milne ki tamanna mein miTa jata hun

nai duniya hai mere shauq ki duniya dekho

tur par hi nahin nazzara-e-jaanan mauquf

dekhna ho to wo maujud hai har ja dekho

asar-e-nala-e-ashiq nahin dekha tum ne

tham lo dil ko sambhal baiTho ab achchha dekho

taur majnun ki nigahon ke batate hain hamein

isi laila mein hai ek dusri laila dekho

partaw-e-mahr se mamur hai zarra zarra

lahren leta hai har ek qatre mein dariya dekho

dur ho jaen jo aankhon se hijabaat-e-dui

phir to dil hi mein do-alam ka tamasha dekho

sab mein DhunDa unhen aur ki to na ki dil mein talash

nazar-e-shauq kahan khai hai dhoka dekho

nahin thamte nahin thamte mere aansu 'bedam'

raaz-e-dil un pe hua jata hai ifsha dekho

(1195) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ishq Ke Aasar Hain Phir Ghash Mujhe Aaya Dekho In English By Famous Poet Bedam Shah Warsi. Ishq Ke Aasar Hain Phir Ghash Mujhe Aaya Dekho is written by Bedam Shah Warsi. Read famous Poem Ishq Ke Aasar Hain Phir Ghash Mujhe Aaya Dekho for youth and Student by Bedam Shah Warsi. Free Download Ishq Ke Aasar Hain Phir Ghash Mujhe Aaya Dekho in PDF.