Justuju Karte Hi Karte Kho Gaya

justuju karte hi karte kho gaya

un ko jab paya to KHud gum ho gaya

kya KHabar yaran-e-rafta ki mile

phir na aaya us gali mein jo gaya

jab uThaya us ne apni bazm se

baKHt jage panw mera so gaya

mujh ko hai khoe hue dil ki talash

aur wo kahte hain ki jaane do gaya

KHair hai kyun is qadar betab hain

hazrat-e-dil aap ko kya ho gaya

wo meri baalin aa kar phir gae

jag kar mera muqaddar so gaya

aaj phir 'bedam' ki haalat ghair hai

mai-kasho lena zara dekho gaya

(1710) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Justuju Karte Hi Karte Kho Gaya In English By Famous Poet Bedam Shah Warsi. Justuju Karte Hi Karte Kho Gaya is written by Bedam Shah Warsi. Read famous Poem Justuju Karte Hi Karte Kho Gaya for youth and Student by Bedam Shah Warsi. Free Download Justuju Karte Hi Karte Kho Gaya in PDF.