Na Suno Mere Nale Hain Dard-bhare Dar-o-asare Aah-e-sahare

na suno mere nale hain dard-bhare dar-o-asare aah-e-sahare

tumhein kya jo koi marta hai mere ai dushman-e-jaan be-dad-gare

teri surmagin aankhon ke sadqe inhen chheD na panja-e-mizhgan se

abhi zaKHm-e-jigar hain tamam hare ai mahw-e-taghaful be-KHabare

liya ishq mein jog bhikari bane tere naqsh-e-qadam ke pujari bane

kabhi sajde kiye kabhi gird phire but sim-bare zarrin-kamre

jo tu ne hazaron wade kiye lekin wo kabhi ifa na hue

dil hi hain rahe arman mere ai wada-shikan but hila-gire

'bedam' kahen kya kis tarah rahe mar mar ke jiye ji ji ke mare

dar-manzil-e-ishqash dar-badare majnun-e-shorida-sare

(1008) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Suno Mere Nale Hain Dard-bhare Dar-o-asare Aah-e-sahare In English By Famous Poet Bedam Shah Warsi. Na Suno Mere Nale Hain Dard-bhare Dar-o-asare Aah-e-sahare is written by Bedam Shah Warsi. Read famous Poem Na Suno Mere Nale Hain Dard-bhare Dar-o-asare Aah-e-sahare for youth and Student by Bedam Shah Warsi. Free Download Na Suno Mere Nale Hain Dard-bhare Dar-o-asare Aah-e-sahare in PDF.