Qasr-e-jaanan Tak Rasai Ho Kisi Tadbir Se

qasr-e-jaanan tak rasai ho kisi tadbir se

tair-e-jaan ke liye par mang lun main tir se

un ko kya dhoka hua mujh na-tawan ko dekh

meri surat kyun milate hain meri taswir se

galiyan de kar bajae qum ke ai rashk-e-masih

aap ne murde jilae hain nai tadbir se

sadqe ai qatil tere mujh tishna-e-didar ki

tishnagi jati rahi aab-e-dam-e-shamshir se

ishwe se ghamze se shoKHi se ada se naz se

miTne wala hun miTa dije kisi tadbir se

ek sawal-e-wasl par do do sazaen din mujhe

tegh se kaTa zaban ko si diye lab tir se

kuchh na ho ai inqilab-e-asman itna to ho

ghair ki qismat badal jae meri taqdir se

zindagi se kyun na ho nafrat ki mahw-e-zulf hun

qaid-e-hasti mujh ko 'bedam' kam nahin zanjir se

(969) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qasr-e-jaanan Tak Rasai Ho Kisi Tadbir Se In English By Famous Poet Bedam Shah Warsi. Qasr-e-jaanan Tak Rasai Ho Kisi Tadbir Se is written by Bedam Shah Warsi. Read famous Poem Qasr-e-jaanan Tak Rasai Ho Kisi Tadbir Se for youth and Student by Bedam Shah Warsi. Free Download Qasr-e-jaanan Tak Rasai Ho Kisi Tadbir Se in PDF.