Qafas Ki Tiliyon Se Le Ke ShaKH-e-ashiyan Tak Hai

qafas ki tiliyon se le ke shaKH-e-ashiyan tak hai

meri duniya yahan se hai meri duniya wahan tak hai

zamin se aasman tak aasman se la-makan tak hai

KHuda jaane hamare ishq ki duniya kahan tak hai

KHuda jaane kahan se jalwa-e-jaanan kahan tak hai

wahin tak dekh sakta hai nazar jis ki jahan tak hai

koi mar kar to dekhe imtihan-gah-e-mohabbat mein

ki zer-e-KHanjar-e-qatil hayat-e-jawedan tak hai

niyaz-o-naz ki rudad-e-husn-o-ishq ka qissa

ye jo kuchh bhi hai sab un ki hamari dastan tak hai

qafas mein bhi wahi KHwab-e-pareshan dekhta hun main

ki jaise bijliyon ki rau falak se aashiyan tak hai

KHayal-e-yar ne to aate hi gum kar diya mujh ko

yahi hai ibtida to intiha us ki kahan tak hai

jawani aur phir un ki jawani ai maaz-allah

mera dil kya tah-o-baala nizam-e-do-jahan tak hai

hum itna bhi na samjhe aql khoi dil ganwa baiThe

ki husn-o-ishq ki duniya kahan se hai kahan tak hai

wo sar aur ghair ke dar par jhuke tauba maaz-allah

ki jis sar ki rasai tere sang-e-astan tak hai

ye kis ki lash be-gor-o-kafan pamal hoti hai

zamin jumbish mein hai barham nizam-e-asman tak hai

jidhar dekho udhar bikhre hain tinke aashiyane ke

meri barbaadiyon ka silsila ya-rab kahan tak hai

na meri saKHt-jaani phir na un ki tegh ka dam-KHam

main us ke imtihan tak hun wo mere imtihan tak hai

zamin se aasman tak ek sannaTe ka aalam hai

nahin malum mere dil ki virani kahan tak hai

sitamgar tujh se ummid-e-karam hogi jinhen hogi

hamein to dekhna ye tha ki tu zalim kahan tak hai

nahin ahl-e-zamin par munhasir matam shahidon ka

qaba-e-nil-gun pahne faza-e-asman tak hai

suna hai sufiyon se hum ne akasr KHanqahon mein

ki ye rangin-bayani 'bedam'-e-rangin-bayan tak hai

(1291) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qafas Ki Tiliyon Se Le Ke ShaKH-e-ashiyan Tak Hai In English By Famous Poet Bedam Shah Warsi. Qafas Ki Tiliyon Se Le Ke ShaKH-e-ashiyan Tak Hai is written by Bedam Shah Warsi. Read famous Poem Qafas Ki Tiliyon Se Le Ke ShaKH-e-ashiyan Tak Hai for youth and Student by Bedam Shah Warsi. Free Download Qafas Ki Tiliyon Se Le Ke ShaKH-e-ashiyan Tak Hai in PDF.