Yun Gulshan-e-hasti Ki Mali Ne Bina Dali

yun gulshan-e-hasti ki mali ne bina Dali

phulon se juda kaliyan kaliyon se juda Dali

sar rakh ke hatheli par aur laKHt-e-jigar chun kar

sarkar mein lae hain arbab-e-wafa Dali

ruya kahun main is ko ya muzhda-e-bedari

ghul hai ki naqab us ne chehre se uTha Dali

allah-re tasawwur ki naqqashi o nairangi

jab ban gai ek surat ek shakl miTa Dali

saqi ne sitam Dhaya barsat mein tarsaya

jab fasl-e-bahaar aai dukan uTha Dali

KHun-e-dil-e-ashiq ke us qatre ka kya kahna

duniya-e-wafa jis ne rangin bana Dali

'bedam' tere girya ne tufan uTha Dale

aur nalon ne duniya ki buniyaad hila Dali

(1390) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yun Gulshan-e-hasti Ki Mali Ne Bina Dali In English By Famous Poet Bedam Shah Warsi. Yun Gulshan-e-hasti Ki Mali Ne Bina Dali is written by Bedam Shah Warsi. Read famous Poem Yun Gulshan-e-hasti Ki Mali Ne Bina Dali for youth and Student by Bedam Shah Warsi. Free Download Yun Gulshan-e-hasti Ki Mali Ne Bina Dali in PDF.