Kaun Sa Ghar Hai Ki Ai Jaan Nahin Kashana Tera Aur Jalwa-KHana Tera

kaun sa ghar hai ki ai jaan nahin kashana tera aur jalwa-KHana tera

mai-kada tera hai kaba tera but-KHana tera sab hai jaanana tera

tu kisi shakl mein ho main tera shaidai hun tera saudai hun

tu agar shama hai ai dost main parwana tera yani diwana tera

mujh ko bhi jam koi pir-e-KHarabaat mile teri KHairaat mile

ta-qayamat yunhi jari rahe paimana tera rahe mai-KHana tera

tere darwaze pe hazir hai tere dar ka faqir ai amiron ke amir

mujh pe bhi ho kabhi altaf-e-karimana tera lutf-e-shahana tera

sadqa mai-KHane ka saqi mujhe be-hoshi de KHud-faramoshi de

yun to sab kahte hain 'bedam' tera mastana tera ab hun diwana tera

(1336) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaun Sa Ghar Hai Ki Ai Jaan Nahin Kashana Tera Aur Jalwa-KHana Tera In English By Famous Poet Bedam Shah Warsi. Kaun Sa Ghar Hai Ki Ai Jaan Nahin Kashana Tera Aur Jalwa-KHana Tera is written by Bedam Shah Warsi. Read famous Poem Kaun Sa Ghar Hai Ki Ai Jaan Nahin Kashana Tera Aur Jalwa-KHana Tera for youth and Student by Bedam Shah Warsi. Free Download Kaun Sa Ghar Hai Ki Ai Jaan Nahin Kashana Tera Aur Jalwa-KHana Tera in PDF.