Hum ChaTanon Ki Tarah Sahil Pe Dhaale Jaenge

hum chaTanon ki tarah sahil pe Dhaale jaenge

phir hamein sailab ke dhaare baha le jaenge

aisi rut aai andhere ban gae mimbar ke but

gumbad-o-mehrab kya jugnu bacha le jaenge

pahle sab tamir karwaenge kaghaz ke makan

phir hawa ke ruKH pe angare uchhaale jaenge

hum wafadaron mein hain us ke magar mashkuk hain

ek na ek din us ki mahfil se nikale jaenge

jang mein le jaenge sarhad pe sab tir-o-tafang

hum to apne sath miTTi ki dua le jaenge

shahr ko tahzib ke jhonkon ne nanga kar diya

ganw ke sar ka dupaTTa bhi uDa le jaenge

dastan-e-ishq ko 'bekal' na de giton ka rup

dost hain bebak sab lahje chura le jaenge

(759) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum ChaTanon Ki Tarah Sahil Pe Dhaale Jaenge In English By Famous Poet Bekal Utsahi. Hum ChaTanon Ki Tarah Sahil Pe Dhaale Jaenge is written by Bekal Utsahi. Read famous Poem Hum ChaTanon Ki Tarah Sahil Pe Dhaale Jaenge for youth and Student by Bekal Utsahi. Free Download Hum ChaTanon Ki Tarah Sahil Pe Dhaale Jaenge in PDF.