Raat Bhar Gardish Thi Un Ke Pasbanon Ki Tarah

raat bhar gardish thi un ke pasbanon ki tarah

panw mein chakkar tha mere aasmanon ki tarah

dil mein hain lekin unhen dil se gharaz-matlab nahin

apne ghar mein rahte hain wo mehmanon ki tarah

dil ke dene ka kahin charcha na karna dekhna

le ke dil samjha rahe hain mehrbanon ki tarah

nam par marne ke marte hain magar marte nahin

kaun ji sakta hai hum se saKHt-jaanon ki tarah

dil jo kuchh kahta hai karte hain wahi 'beKHud' magar

sun liya karte hain sab ki be-zabanon ki tarah

(757) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Raat Bhar Gardish Thi Un Ke Pasbanon Ki Tarah In English By Famous Poet Bekhud Dehlvi. Raat Bhar Gardish Thi Un Ke Pasbanon Ki Tarah is written by Bekhud Dehlvi. Read famous Poem Raat Bhar Gardish Thi Un Ke Pasbanon Ki Tarah for youth and Student by Bekhud Dehlvi. Free Download Raat Bhar Gardish Thi Un Ke Pasbanon Ki Tarah in PDF.