Dasht-paimai Ka Gar Qasd Mukarrar Hoga

dasht-paimai ka gar qasd mukarrar hoga

har sar-e-KHar pae-abla nashtar hoga

mai-kade se tera diwana jo bahar hoga

ek mein shisha aur ek hath mein saghar hoga

halqa-e-chashm-e-sanam likh ke ye kahta hai qalam

bas ki markaz se qadam apna na bahar hoga

dil na dena kabhi in sang-dilon ko yaro

chur howega jo shisha tah-e-patthar hoga

dekh leta wo agar ruKH ki tajalli tere

aaina KHana-e-mayusi mein shashdar hoga

chaak kar Dalunga daman-e-kafan wahshat se

aastin se na mera hath jo bahar hoga

ai 'rasa' jaisa hai bargashta zamana hum se

aisa bargashta kisi ka na muqaddar hoga

(739) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dasht-paimai Ka Gar Qasd Mukarrar Hoga In English By Famous Poet Bhartendu Harishchandra. Dasht-paimai Ka Gar Qasd Mukarrar Hoga is written by Bhartendu Harishchandra. Read famous Poem Dasht-paimai Ka Gar Qasd Mukarrar Hoga for youth and Student by Bhartendu Harishchandra. Free Download Dasht-paimai Ka Gar Qasd Mukarrar Hoga in PDF.