Dil Aatish-e-hijran Se Jalana Nahin Achchha

dil aatish-e-hijran se jalana nahin achchha

ai shoala-ruKHo aag lagana nahin achchha

kis gul ke tasawwur mein hai ai lala jigar-KHun

ye dagh kaleje pe uThana nahin achchha

aaya hai ayaadat ko masiha sar-e-baalin

ai marg Thahar ja abhi aana nahin achchha

sone de shab-e-wasl-e-ghariban hai abhi se

ai murgh-e-sahar shor machana nahin achchha

tum jate ho kya jaan meri jati hai sahib

ai jaan-e-jahan aap ka jaana nahin achchha

aa ja shab-e-furqat mein qasam tum ko KHuda ki

ai maut bas ab der lagana nahin achchha

pahuncha de saba kucha-e-jaanan mein pas-e-marg

jangal mein meri KHak uDana nahin achchha

aa jae na dil aap ka bhi aur kisi par

dekho meri jaan aankh laDana nahin achchha

kar dunga abhi hashr bapa dekhiyo jallad

dhabba ye mere KHun ka chhuDana nahin achchha

ai faKHta us sarw-e-sahi qad ka hun shaida

ku-ku ki sada mujh ko sunana nahin achchha

(867) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Aatish-e-hijran Se Jalana Nahin Achchha In English By Famous Poet Bhartendu Harishchandra. Dil Aatish-e-hijran Se Jalana Nahin Achchha is written by Bhartendu Harishchandra. Read famous Poem Dil Aatish-e-hijran Se Jalana Nahin Achchha for youth and Student by Bhartendu Harishchandra. Free Download Dil Aatish-e-hijran Se Jalana Nahin Achchha in PDF.