Nind Aati Hi Nahin DhaDke Ki Bas Aawaz Se

nind aati hi nahin dhaDke ki bas aawaz se

tang aaya hun main is pur-soz dil ke saz se

dil pisa jata hai un ki chaal ke andaz se

hath mein daman liye aate hain wo kis naz se

saikaDon murde jalae ho masiha naz se

maut sharminda hui kya kya tere eajaz se

baghban kunj-e-qafas mein muddaton se hun asir

ab khule par bhi to main waqif nahin parwaz se

qabr mein rahat se soe the na tha mahshar ka KHauf

baz aae ai masiha hum tere eajaz se

wae ghaflat bhi nahin hoti ki dam bhar chain ho

chaunk paDta hun shikast-e-hosh ki aawaz se

naz mashuqana se KHali nahin hai koi baat

mere lashe ko uThae hain wo kis andaz se

qabr mein soe hain mahshar ka nahin khaTka 'rasa'

chaunkne wale hain kab hum sur ki aawaz se

(823) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nind Aati Hi Nahin DhaDke Ki Bas Aawaz Se In English By Famous Poet Bhartendu Harishchandra. Nind Aati Hi Nahin DhaDke Ki Bas Aawaz Se is written by Bhartendu Harishchandra. Read famous Poem Nind Aati Hi Nahin DhaDke Ki Bas Aawaz Se for youth and Student by Bhartendu Harishchandra. Free Download Nind Aati Hi Nahin DhaDke Ki Bas Aawaz Se in PDF.