Phir Aai Fasl-e-gul Phir ZaKHm-e-dil Rah Rah Ke Pakte Hain

phir aai fasl-e-gul phir zaKHm-e-dil rah rah ke pakte hain

magar dagh-e-jigar par surat-e-lala lahakte hain

nasihat hai abas naseh bayan nahaq hi bakte hain

jo bahke duKHt-e-raz se hain wo kab in se bahakte hain

koi ja kar kaho ye aaKHiri paigham us but se

are aa ja abhi dam tan mein baqi hai sisakte hain

na bosa lene dete hain na lagte hain gale mere

abhi kam-umr hain har baat par mujh se jhijakte hain

wo ghairon ko ada se qatl jab bebak karte hain

to us ki tegh ko hum aah kis hairat se takte hain

uDa lae ho ye tarz-e-suKHan kis se batao to

dam-e-taqdir goya bagh mein bulbul chahakte hain

'rasa' ki hai talash-e-yar mein ye dasht-paimai

ki misl-e-shisha mere panw ke chhaale jhalakte hain

(816) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phir Aai Fasl-e-gul Phir ZaKHm-e-dil Rah Rah Ke Pakte Hain In English By Famous Poet Bhartendu Harishchandra. Phir Aai Fasl-e-gul Phir ZaKHm-e-dil Rah Rah Ke Pakte Hain is written by Bhartendu Harishchandra. Read famous Poem Phir Aai Fasl-e-gul Phir ZaKHm-e-dil Rah Rah Ke Pakte Hain for youth and Student by Bhartendu Harishchandra. Free Download Phir Aai Fasl-e-gul Phir ZaKHm-e-dil Rah Rah Ke Pakte Hain in PDF.