Aise Mein Roz Roz Koi DhunDta Mujhe

aise mein roz roz koi DhunDta mujhe

aawaz de rahi thi udhar ki hawa mujhe

aisa hua ki ghar se na nikla tamam din

jaise ki KHud se aaj koi kaam tha mujhe

parde ke aas-pas koi bagh hi na ho

khiDki khuli to phul ka dhoka hua mujhe

ye peD jis pe phul na patti na Tahniyan

das bis sal baad jo KHud sa laga mujhe

main aaj bhi wahi hun wafa thi jise aziz

fursat mile to aa ke kabhi dekh ja mujhe

aankhon mein dil utar paDa aaina dekh kar

aaya tha ek KHayal bahut dur ka mujhe

ye fikr aa paDi hai ki badle gae na hon

sae se kah raha hun zara dekhna mujhe

kahte hain yar-dost agar bewafa kahen

ai 'ashk' aansuon ne bhi kya de diya mujhe

(998) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aise Mein Roz Roz Koi DhunDta Mujhe In English By Famous Poet Bimal Krishn Ashk. Aise Mein Roz Roz Koi DhunDta Mujhe is written by Bimal Krishn Ashk. Read famous Poem Aise Mein Roz Roz Koi DhunDta Mujhe for youth and Student by Bimal Krishn Ashk. Free Download Aise Mein Roz Roz Koi DhunDta Mujhe in PDF.