Chand Ko Reshmi Baadal Se Ulajhta Dekhun

chand ko reshmi baadal se ulajhta dekhun

wo hawa hai kabhi aanchal kabhi chehra dekhun

dekhne nikla hun duniya ko magar kya dekhun

jis taraf aankh uThaun wahi chehra dekhun

daera khinch ke baiTha hun baDi muddat se

KHud se niklun to kisi aur ka rasta dekhun

ye wo darwaza hai kholun to koi aa na sake

aur agar band karun dil hi mein duniya dekhun

wo ajab chiz hai us ka koi chehra hi nahin

ek parda jo uThe dusra parda dekhun

wo chaka-chaund hai niklega na ghar se koi

dhup agar chhiTke wo hansta hua chehra dekhun

mera saya ho ki main koi to dhoka hai zarur

ghar mein aaina ki ghar se pare dariya dekhun

koi phal phul nahin maghribi chaTTanon par

chand jis ganw se ugta hai wo duniya dekhun

(1050) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chand Ko Reshmi Baadal Se Ulajhta Dekhun In English By Famous Poet Bimal Krishn Ashk. Chand Ko Reshmi Baadal Se Ulajhta Dekhun is written by Bimal Krishn Ashk. Read famous Poem Chand Ko Reshmi Baadal Se Ulajhta Dekhun for youth and Student by Bimal Krishn Ashk. Free Download Chand Ko Reshmi Baadal Se Ulajhta Dekhun in PDF.