Jis Ki Har Baat Mein Qahqaha Jazb Tha Main Na Tha Dosto

jis ki har baat mein qahqaha jazb tha main na tha dosto

wo jo hansta hansata tha is shahr mein ho liya dosto

ek ek kar ke ahl-e-ilm chal diye shahr viran hai

ek le-de ke main bach raha hun so mujh mein hai kya dosto

ek do phul the sukh ke Tahni pe so wo bhi murjha gae

warna is peD pe har samay har taraf rang tha dosto

ba-wafa mehrban sab ke sab shahr se ho chuke the bida

jab yahan aae the hum wafa mehr ka kal tha dosto

ek lamhe wo mujh pas chup-chap sa baiTh kar uTh gaya

dil se uThta raha muddaton muddaton shor sa dosto

hum hawas ki tarah ishq karte rahe ruh bhi jism bhi

apni bedariyon ka sila KHwab hi KHwab tha dosto

ye na milna bhi ek aur ehsan hai bewafai nahin

haal dekha na jata tha ahbab se 'ashk' ka dosto

(1117) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jis Ki Har Baat Mein Qahqaha Jazb Tha Main Na Tha Dosto In English By Famous Poet Bimal Krishn Ashk. Jis Ki Har Baat Mein Qahqaha Jazb Tha Main Na Tha Dosto is written by Bimal Krishn Ashk. Read famous Poem Jis Ki Har Baat Mein Qahqaha Jazb Tha Main Na Tha Dosto for youth and Student by Bimal Krishn Ashk. Free Download Jis Ki Har Baat Mein Qahqaha Jazb Tha Main Na Tha Dosto in PDF.