Jin Par Nisar Shams-o-qamar Aasman Ke Hain

jin par nisar shams-o-qamar aasman ke hain

do zarre KHak-e-kishwar-e-hindostan ke hain

kohsar fasl-e-gul mein paristan se kam nahin

kya kya tilism sabza-e-ab-e-rawan ke hain

aKHlaq waza tarz rawish sab mein inqalab

ab rang-Dhang aur hi pir-o-jawan ke hain

hai aql dang safha-e-awwal mein aaj tak

kahne ko garche sat waraq aasman ke hain

(617) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Jin Par Nisar Shams-o-qamar Aasman Ke Hain In English By Famous Poet Bishan Narayen Darabar. Jin Par Nisar Shams-o-qamar Aasman Ke Hain is written by Bishan Narayen Darabar. Read famous Poem Jin Par Nisar Shams-o-qamar Aasman Ke Hain for youth and Student by Bishan Narayen Darabar. Free Download Jin Par Nisar Shams-o-qamar Aasman Ke Hain in PDF.