Aazar-o-jafa-e-paiham Se Ulfat Mein Jinhen Aaram Nahin

aazar-o-jafa-e-paiham se ulfat mein jinhen aaram nahin

wo jite hain lekin un ko marne ke siwa kuchh kaam nahin

aflak ki gardish se dam-bhar duniya mein hamein aaram nahin

wo din nahin wo ab raat nahin wo subh nahin wo sham nahin

kyun hum ne mohabbat ki un se diqqat mein phanse zahmat mein phanse

aaghaz hi mein dil mein kahta tha achchha us ka anjam nahin

is ka bhi alam us ka bhi qalaq ye gham bhi hamein wo gham bhi hamein

jine ko ghanimat samjhe the jine mein magar aaram nahin

gulshan mein KHizan ab aa pahunchi mai-KHane mein ji kyun kar bahle

wo rang nahin wo lutf nahin wo daur nahin wo jam nahin

har sans se aati hai ye sada marne ke liye tayyar raho

jine se nahin kuchh dilchaspi jine se hamein kuchh kaam nahin

qatil ko ye samjha de koi nale se fughan se shewan se

bismil na karun main ai 'bismil' to bismil mera nam nahin

(868) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aazar-o-jafa-e-paiham Se Ulfat Mein Jinhen Aaram Nahin In English By Famous Poet Bismil Allahabadi. Aazar-o-jafa-e-paiham Se Ulfat Mein Jinhen Aaram Nahin is written by Bismil Allahabadi. Read famous Poem Aazar-o-jafa-e-paiham Se Ulfat Mein Jinhen Aaram Nahin for youth and Student by Bismil Allahabadi. Free Download Aazar-o-jafa-e-paiham Se Ulfat Mein Jinhen Aaram Nahin in PDF.