Itna Bhi Na Saqi Hosh Raha Pi Kar Ye Hamein Mai-KHana Tha

itna bhi na saqi hosh raha pi kar ye hamein mai-KHana tha

gardish mein hamari qismat thi chakkar mein tera paimana tha

mahrum tha soz-e-ulfat se jal jaane se begana tha

fanus ke andar shama rahi bahar bahar parwana tha

mai-KHane se hum ruKHsat jo hue to aur hi kuchh mai-KHana tha

ek kone mein KHum rakha tha ek goshe mein paimana tha

hun rang-e-mohabbat se waqif hun soz-e-mohabbat se waqif

gulzar mein bulbul main tha kabhi mahfil mein kabhi parwana tha

daman mein jo chun kar rakhta tha sab jaib-o-gareban ke TukDe

hoshyar wahi diwana tha diwana wo kab diwana tha

(819) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Itna Bhi Na Saqi Hosh Raha Pi Kar Ye Hamein Mai-KHana Tha In English By Famous Poet Bismil Allahabadi. Itna Bhi Na Saqi Hosh Raha Pi Kar Ye Hamein Mai-KHana Tha is written by Bismil Allahabadi. Read famous Poem Itna Bhi Na Saqi Hosh Raha Pi Kar Ye Hamein Mai-KHana Tha for youth and Student by Bismil Allahabadi. Free Download Itna Bhi Na Saqi Hosh Raha Pi Kar Ye Hamein Mai-KHana Tha in PDF.