Jine Wala Ye Samajhta Nahin Saudai Hai

jine wala ye samajhta nahin saudai hai

zindagi maut ko bhi sath laga lai hai

ye bhi mushtaq-ada wo bhi tamannai hai

khinch ke duniya tere kuche mein chali aai hai

khul gae naza mein asrar-e-tilism-e-hasti

zist kahte hain jise maut ki angDai hai

kah gae ahl-e-chaman ye tere diwanon se

hosh mein aao zamane mein bahaar aai hai

main kisi roz dikhaun dil-e-sad-chaak-ada

tujh ko malum to ho kya teri angDai hai

DhunDhti kyun na rahe us ko abad tak duniya

jis ne chhupne ki azal hi mein qasam khai hai

phuT kar panw ke chhaale mere lae ye rang

bagh to bagh hai sahra mein bahaar aai hai

jalwa-e-roz-e-azal ne mujhe bechain kiya

pahli duniya mein ye pahli teri angDai hai

jis ki sehat ke liye aap duaen mangen

aise bimar ko bhi maut kahin aai hai

tegh-e-qatil ko pas-e-qatl nadamat hogi

dam se 'bismil' hi ke ye marka-arai hai

(852) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jine Wala Ye Samajhta Nahin Saudai Hai In English By Famous Poet Bismil Allahabadi. Jine Wala Ye Samajhta Nahin Saudai Hai is written by Bismil Allahabadi. Read famous Poem Jine Wala Ye Samajhta Nahin Saudai Hai for youth and Student by Bismil Allahabadi. Free Download Jine Wala Ye Samajhta Nahin Saudai Hai in PDF.