Hoti Nahin Rasai-e-barq-e-tapan Kahan

hoti nahin rasai-e-barq-e-tapan kahan

ai ham-nashin banaiye ab aashiyan kahan

Thahre misal teri gul-e-arghawan kahan

ai mah-jabin zamin kahan aasman kahan

chhana kiya main KHak-e-do-alam tamam umr

apni talash le gai mujh ko kahan kahan

chhuTta hujum-e-gham se mera sath kis tarah

jata bichhaD ke mujh se mera karwan kahan

mahdud jin ki dair-o-haram tak thi justuju

hota nasib un ko tera aastan kahan

har manzil-e-hayat ki had par ho chuki

le jaegi ab aur ai umr-e-rawan kahan

sayyaad ne bhi mujh ko riha kar diya 'jalis'

qismat mein ab qafas bhi nahin aashiyan kahan

(722) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hoti Nahin Rasai-e-barq-e-tapan Kahan In English By Famous Poet Brahma Nand Jalees. Hoti Nahin Rasai-e-barq-e-tapan Kahan is written by Brahma Nand Jalees. Read famous Poem Hoti Nahin Rasai-e-barq-e-tapan Kahan for youth and Student by Brahma Nand Jalees. Free Download Hoti Nahin Rasai-e-barq-e-tapan Kahan in PDF.