Masarrat Ko Masarrat Gham Ko Jo Bas Gham Samajhte Hain

masarrat ko masarrat gham ko jo bas gham samajhte hain

wo nadan zindagi ka raaz aksar kam samajhte hain

haqiqat mein wahi raaz-e-haqiqat se hain na-waqif

jinhen dawa hai ye raaz-e-haqiqat hum samajhte hain

nahin hajat hamein ai chaarasazo chaara-sazi ki

hum apne dard hi ko dard ka marham samajhte hain

hamari sada-lauhi us se baDh kar aur kya hogi

ki hum na-ashna ko aashna-e-gham samajhte hain

ye kaisa raaz hai un ke hamare darmiyan yarab

na jis ko wo samajhte hain na jis ko hum samajhte hain

main un ke ranj ke qurban main un ke dard ke sadqe

jo har insan ke gham ko KHud apna gham samajhte hain

samajhte hain 'jalis' ab aap to aalam ko begana

magar hum aap ko be-gana-e-alam samajhte hain

(800) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Masarrat Ko Masarrat Gham Ko Jo Bas Gham Samajhte Hain In English By Famous Poet Brahma Nand Jalees. Masarrat Ko Masarrat Gham Ko Jo Bas Gham Samajhte Hain is written by Brahma Nand Jalees. Read famous Poem Masarrat Ko Masarrat Gham Ko Jo Bas Gham Samajhte Hain for youth and Student by Brahma Nand Jalees. Free Download Masarrat Ko Masarrat Gham Ko Jo Bas Gham Samajhte Hain in PDF.