Puchhte Hain Bazm Mein Sun Kar Wo Afsana Mera

puchhte hain bazm mein sun kar wo afsana mera

aap hain kahti hai duniya jis ko diwana mera

bas yahi hai muKHtasar tashrih husn-o-ishq ki

wo tumhaari dastan hai ye hai afsana mera

hain tasawwur mein tere jalwe teri ranaiyan

raunaq-e-sad-anjuman hai aaj virana mera

KHud mere aansu hi us ke haq mein shoale ban gae

barq-o-baran se to tha mahfuz kashana mera

khil raha hai mere chehre se mera ahwal-e-gham

kah rahi hai meri KHamoshi hi afsana mera

main nahin qail kisi taqlid ka ai rahbaro

har qadam uThta hai manzil mein harifana mera

maujzan hai KHun-e-dil ab chashm-e-tar mein ai 'jalis'

baada-e-gul-gun se hai labrez paimana mera

(995) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Puchhte Hain Bazm Mein Sun Kar Wo Afsana Mera In English By Famous Poet Brahma Nand Jalees. Puchhte Hain Bazm Mein Sun Kar Wo Afsana Mera is written by Brahma Nand Jalees. Read famous Poem Puchhte Hain Bazm Mein Sun Kar Wo Afsana Mera for youth and Student by Brahma Nand Jalees. Free Download Puchhte Hain Bazm Mein Sun Kar Wo Afsana Mera in PDF.