Tujhse Tasawwuraat Mein Ai Jaan-e-arzu

tujh se tasawwuraat mein ai jaan-e-arzu

bandhe hain hum ne sainkaDon paiman-e-arzu

ai rashk-e-nau-bahaar tere intizar mein

kya kya khilae hum ne gulistan-e-arzu

phir dil mein dagh-ha-e-tamanna hain zau-fishan

phir kar raha hun jashn-e-charaghan-e-arzu

dekhe koi ye rabt ki marne ke baad bhi

chhuTa na dast-e-shauq se daman-e-arzu

ab dekhiye guzarti hai kya us ki jaan par

ek dil hai aur sainkaDon tufan-e-arzu

tera KHayal tere nazare tera jamal

kitne charagh hain tah-daman-e-arzu

samjho na hum ko be-sar-o-saman ki hum 'jalis'

rakhte hain dil mein ganj-e-farawan-e-arzu

(898) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tujhse Tasawwuraat Mein Ai Jaan-e-arzu In English By Famous Poet Brahma Nand Jalees. Tujhse Tasawwuraat Mein Ai Jaan-e-arzu is written by Brahma Nand Jalees. Read famous Poem Tujhse Tasawwuraat Mein Ai Jaan-e-arzu for youth and Student by Brahma Nand Jalees. Free Download Tujhse Tasawwuraat Mein Ai Jaan-e-arzu in PDF.