Yahi Samjha Hun Bas Itni Hui Hai Aagahi Mujhko

yahi samjha hun bas itni hui hai aagahi mujh ko

na ras aaegi shayad zindagi-bhar zindagi mujh ko

mila ranj-o-alam mein bhi surur-e-zindagi mujh ko

nazar aati hai aksar tirgi mein raushni mujh ko

na ab ehsas-e-ranj-o-gham na ehsas-e-KHushi mujh ko

ye kis markaz pe le aai meri diwangi mujh ko

chhalak aae hain aansu jab bhi aai hai hansi mujh ko

sunati hi rahi paigham-e-gham meri KHushi mujh ko

na dena tha agar kuchh iKHtiyar-e-zindagi mujh ko

to kyun ai KHaliq-e-alam banaya aadmi mujh ko

siyah-baKHti hui hai saya-afgan is qadar mujh par

nazar aati hai har-su tirgi hi tirgi mujh ko

'jalis' ehsan kya kam hai ye meri bad-nasibi ka

tamiz apne parae ki to aaKHir ho gai mujh ko

(876) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yahi Samjha Hun Bas Itni Hui Hai Aagahi Mujhko In English By Famous Poet Brahma Nand Jalees. Yahi Samjha Hun Bas Itni Hui Hai Aagahi Mujhko is written by Brahma Nand Jalees. Read famous Poem Yahi Samjha Hun Bas Itni Hui Hai Aagahi Mujhko for youth and Student by Brahma Nand Jalees. Free Download Yahi Samjha Hun Bas Itni Hui Hai Aagahi Mujhko in PDF.