Chaukidar

ek soft-drink ki qimat mein

december ki sardi mein

jab hamein apne bistar se

darwaze tak jaana

na-mumkin lagta hai

wo hamari chhaton ki nigahbani

haDDiyon mein chhed karti

yaKH-basta hawaon se

laD kar karta hai

koi nahin jaanta

us ka apna gharana

mahine ki aaKHiri tariKHen

kis aziyyat se kaTta hai

aur phir

agle mahine ke pahle hafte

wo apni KHidmat

bezar chehron se

bhik ki surat mangta hai

(1123) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Chaukidar In English By Famous Poet Bushra Saeed. Chaukidar is written by Bushra Saeed. Read famous Poem Chaukidar for youth and Student by Bushra Saeed. Free Download Chaukidar in PDF.