Shab-e-wasl Bhi Lab Pe Aae Gae Hain

shab-e-wasl bhi lab pe aae gae hain

ye nale bahut munh lagae gae hain

KHuda jaane hum kis ke pahlu mein honge

adam ko sab apne parae gae hain

wahi rah milti hai chal phir ke hum ko

jahan KHak mein dil milae gae hain

mere dil ki kyunkar na ho paemali

bahut is mein arman aae gae hain

gile shikwe jhuTe bhi the kis maze ke

hum ilzam danista khae gae hain

nigah ko jigar zulf ko dil diya hai

ye donon Thikane lagae gae hain

rahe chup na hum bhi dam-e-arz-e-matlab

wo ek ek ki sau sau sunae gae hain

farishte bhi dekhen to khul jaen aankhen

bashar ko wo jalwe dikhae gae hain

chalo hazrat-e-'dagh' ki sair dekhen

wahan aaj bhi wo bulae gae hain

(980) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shab-e-wasl Bhi Lab Pe Aae Gae Hain In English By Famous Poet Dagh Dehlvi. Shab-e-wasl Bhi Lab Pe Aae Gae Hain is written by Dagh Dehlvi. Read famous Poem Shab-e-wasl Bhi Lab Pe Aae Gae Hain for youth and Student by Dagh Dehlvi. Free Download Shab-e-wasl Bhi Lab Pe Aae Gae Hain in PDF.