Shab-e-wasl Zid Mein Basar Ho Gai

shab-e-wasl zid mein basar ho gai

nahin hote hote sahar ho gai

nigah ghair par be-asar ho gai

tumhaari nazar ko nazar ho gai

kasak dil mein phir chaaragar ho gai

jo taskin pahar dopahar ho gai

lagate hain dil us se ab haar jit

idhar ho gai ya udhar ho gai

jawab un ki jaanib se dene laga

ye jurat tujhe nama-bar ho gai

bure haal se ya bhale haal se

tumhein kya hamari basar ho gai

mayassar hamein KHwab-e-rahat kahan

zara aankh jhapki sahar ho gai

jafa par wafa to karun soch lo

tumhein mujh se ulfat agar ho gai

nigah-e-sitam mein kuchh ijad ho

ki ye to purani nazar ho gai

tasalli mujhe de ke jate to ho

mabaada jo ju-e-digar ho gai

kahin husn se bhi hai kahidgi

na hone ke qabil kamar ho gai

shab-e-wasl aisi khili chandni

wo ghabra ke bole sahar ho gai

kahi zindagi bhar ki shab wardat

meri ruh paigham-bar ho gai

kaho kya karoge mere wasl ki

jo mashhur jhuTi KHabar ho gai

gham-e-hijr se 'dagh' mujh ko najat

yaqin tha na hogi magar ho gai

(1942) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shab-e-wasl Zid Mein Basar Ho Gai In English By Famous Poet Dagh Dehlvi. Shab-e-wasl Zid Mein Basar Ho Gai is written by Dagh Dehlvi. Read famous Poem Shab-e-wasl Zid Mein Basar Ho Gai for youth and Student by Dagh Dehlvi. Free Download Shab-e-wasl Zid Mein Basar Ho Gai in PDF.