Us Se Kya KHak Ham-nashin Banti

us se kya KHak ham-nashin banti

baat bigDi hui nahin banti

wo bani ibtida-e-ulfat mein

dam pe jo waqt-e-wapsin banti

aadmi sab farishte ban jate

aasman par agar zamin banti

meri surat bani to KHak bani

qismat ai surat-afrin banti

wade karte hi kya wo aa jate

raat bhar zulf-e-ambarin banti

kash sunta na koi shor o fughan

dil ki ja chashm-e-surmagin banti

tu ne aise bigaD Dale hain

ek ki ek se nahin banti

na chamakti jo husn ki taqdir

kyun teri chand si jabin banti

para-e-jeb se mere ai kash

dast-e-wahshat ki aastin banti

bazm-e-duniya thi qabil-e-jannat

KHub banti agar yahin banti

tab-e-nazuk ka lutf jab tha 'dagh'

nazninon mein naznin banti

(932) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Us Se Kya KHak Ham-nashin Banti In English By Famous Poet Dagh Dehlvi. Us Se Kya KHak Ham-nashin Banti is written by Dagh Dehlvi. Read famous Poem Us Se Kya KHak Ham-nashin Banti for youth and Student by Dagh Dehlvi. Free Download Us Se Kya KHak Ham-nashin Banti in PDF.