Ba-tarz-e-KHwa Sajaani PaDi Hai AaKHir-kar

ba-tarz-e-KHwa sajaani paDi hai aaKHir-kar

nai zamin banani paDi hai aaKHir-kar

tapish ne jis ki mujhe kimiya banana tha

mujhe wo aag bujhani paDi hai aaKHir-kar

bahut dinon se ye miTTi paDi thi ek jagah

har ek samt uDani paDi hai aaKHir-kar

jahan pe qasr banae gae the kaghaz ke

wahan se rakh uThani paDi hai aaKHir-kar

wo panw bhige hue dekhne ki KHwahish mein

chaman mein os bichhani paDi hai aaKHir-kar

mere badan ki ziya baDh gai thi suraj se

lahu mein raat milani paDi hai aaKHir-kar

zamin pe dagh bahut paD gae the KHun ke dagh

falak ko barf girani paDi hai aaKHir-kar

(774) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ba-tarz-e-KHwa Sajaani PaDi Hai AaKHir-kar In English By Famous Poet Daniyal Tareer. Ba-tarz-e-KHwa Sajaani PaDi Hai AaKHir-kar is written by Daniyal Tareer. Read famous Poem Ba-tarz-e-KHwa Sajaani PaDi Hai AaKHir-kar for youth and Student by Daniyal Tareer. Free Download Ba-tarz-e-KHwa Sajaani PaDi Hai AaKHir-kar in PDF.