Sahma Hai Aasman Zamin Bhi Udas Hai
sahma hai aasman zamin bhi udas hai
har ganw aur shahr mein KHauf-o-hiras hai
ek lamha-e-sukun bhi mayassar nahin hamein
tere baghair apna har ek pal udas hai
ye kaisi dilkashi hai yahan kaun aa gaya
kaisi ye raushni si mere aas-pas hai
aawargi ka nam hai tahzib-e-nau yahan
aankhon mein sharm hai na badan par libas hai
duniya mein apni aap magan hum hain is tarah
apnon ka kuchh KHayal na rishton ka pas hai
masmum si hawaen pata de gain hamein
qatil hamara koi yahin aas-pas hai
'mohsin' suna hai hum ne ye kaamil faqir se
hoga KHuda se aashna jo KHud-shanas hai
(9507) Peoples Rate This